Zainab Zainab – Nasir Hussain Zaidi
Recited by Nasir Hussain Zaidi ·
Roman English
Zainab Zainab Zainab
Zainab Zainab Zainab Zainab.
Zainab Zainab Zainab Zainab.
Kehtay thay Shaah-e-Karbala.
Zainab Zainab Zainab Zainab.
Zainab… (x2)
Honay ko hain hum bhi juda.
Zainab…
Zainab… (x2)
1. Chalti rahi sheh par churi. Roti rahi dar par khadi.
Mola Ali ki laadli. Kehti thi ye kismat meri.
Main dukhtar-e-mushkil kusha (x2).
Zainab…
Zainab… (x2)
2. Bhai tera maara gaya dasht-e-bala mein be khata.
Cheeni gayi teri rida bint-e-Ali-o-Fatima.
Kya zulm ki thi inteha (x2).
Zainab…
Zainab… (x2)
3. Qasim nahi Akbar nahi Abbas aur Sarwar nahi.
Jhoolay mein ab Asghar nahi Shabbir ka lashkar nahi.
De ab kisay ban mein sada (x2)
Zainab…
Zainab… (x2)
4. Paamaal ran mein ho gayay aada ke zulm-o-jaur se.
Zehra ke thay jo laadlay sar ko kata ke so gayay.
Karti rahi aah-o-buka (x2).
Zainab…
Zainab… (x2)
5. Sham-e-ghareeban aa gayi tareeki ban mein cha gayi.
Maaray gayay ran mein sabhi kis ki nazar hai kha gayi.
Hai dasht mein be aasra (x2)
Zainab…
Zainab… (x2)
6. Be waarsi be chaargi hai muntazir Abbas ki.
Pyaasi Sakina reh gayi roti hai jis pe tashnagi.
Behlaaye dil kaisay bhala (x2)
Zainab…
Zainab… (x2)
7. Bhai pada hai be kafan teeroan se hai chalni badan.
Tukday hua Ibn-e-Hasan ujda hai Zahra ka chaman.
Asghar ka jhoola jal gaya (x2)
Zainab…
Zainab… (x2)
8. Rehan har moj-e-rawaa’n kehti hai ghum ki daasta’n.
Sookhi rahi sab ki zubaa’n kya nau nehal-o-nau jawaa’n.
Sab ke liye thi ghamzada (x2)
Zainab…
Zainab… (x2)
Related Kalaam
Noha Na Alam Na Chacha – Syed Nasir Hussain Zaidi 1987
Nasir Hussain Zaidi · · 💬 2
Noha Mere Baba Mere Baba – Syed Nasir Zaidi 1991-92
Nasir Hussain Zaidi ·
Noha Utho Sakina Utho – Syed Nasir Zaidi 1989-90
Nasir Hussain Zaidi ·
Noha Aaram Kahan Haye Haye Aaram Kahan
Nasir Hussain Zaidi ·