Aaram Kahan Haye Haye Aaram Kahan
Recited by Nasir Hussain Zaidi ·
Roman English
Aaram kahaan Haye Haye Aaram Kahan.
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaram kahan haye haye…
Qatl Shabbir bhi Abbas bhi Akbar bhi huay.
Kat gayay Aon-o-Muhammad ke bhi maqtal main galay.
Lasha-e-Ibn-e-Hasan ho gaya pamaal-e-jafa.
Aaram kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Teer jab Asghar-e-maasoom ki gardan mein laga.
Deti thi khaimay ke dar par khari Baano ye sada.
Bin teray chayn milay kaisay meray maah laqa.
Aaraam kahan… (x3)
Chid gayi mashk-e-Sakina lab-e-darya afsos.
Be kafan khaak pe hai sher ka laasha afsos.
Pyaasay bachon ka koi chahnay waala na raha.
Aaraam kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Chin gayi sar se rida jal gaya asbaab tamaam.
Baad-e-Shabbir namudaar hui kaisi ye sham.
Khoon kanoa’n se baha bachi ka daaman bhi jala.
Aaraam kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Sar shaheedon ke sar-e-nok-e-sina qaid haram.
Aik do ka nahi seenay mein bahattar ka hai gham.
Bediyaan pehnay huay laaghar-o-beemar chala.
Aaraam kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Koi maara gaya talwaar se naizay se koi.
Laash maqtal mein kisi dulha ki pamaal hui.
Ho gayay bazoo-e-Abbas-e-Alamdar juda.
Aaraam kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Ro ro kehti hai Sakina meray ammo aao.
Mujh ko maray na laeen aa ke inhain samjhaao.
Kyun nahi suntay ho deti hoon tumhain kab se sada.
Aaraam kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Bachay jo khaak pe girtay hain kuchal jaatay hain.
Gham se dil maoon ke seenay se nikal jaatay hain.
Koi sunta nahi bewaaon ki faryad-o-buka.
Aaram kahaan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Ankh roti hay kalam likhta hai noha Rehan.
Hai karam mujh pe shah-e-Karbobala ka Rehan.
Noha jab tak na likhoon roz shah-e-dee’n ka naya.
Aaraam kahan… (x3)
Kisht-e-aalam mein Zainab ko bhala.
Aaraam kahan… (x3)
Related Kalaam
Noha Na Alam Na Chacha – Syed Nasir Hussain Zaidi 1987
Nasir Hussain Zaidi · · 💬 2
Noha Zainab Zainab – Nasir Hussain Zaidi
Nasir Hussain Zaidi ·
Noha Mere Baba Mere Baba – Syed Nasir Zaidi 1991-92
Nasir Hussain Zaidi ·
Noha Utho Sakina Utho – Syed Nasir Zaidi 1989-90
Nasir Hussain Zaidi ·