Manqabat

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi – Mir Hasan Mir 2002-03

Recited by Mir Hasan Mir ·

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi – Mir Hasan Mir 2002-03

Roman English

Wo jo yaad-e-Hasan mein basar ho gayi (x2).
Bas wohi zindagi mo’tabar ho gayi

Wo jo yaad-e-Hasan…

Shak parasto ka naam-o-nishaa mit gaya (x2).
Shaam honay se pehlay sehar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Aaj kausar ka mafhoom waazeh hua (x2).
Aamad-e-Mujtaba kaargar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Innama hal ataa minniyyat Mustafa (x2).
Shakhsiyat khoob se khoob tar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Sulh-e-Shabbar mo’assar hui is tarha (x2).
Baat badhti magar mukhtasar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Ye kamaal-e-sha’oor-e-Hasan dekhiye (x2).
Teigh uthi nahi jang sar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Hum Hussaini idhar wo yazeedi udhar (x2).
Khuld is simt dozakh udhar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Mujh pe Ashraf Hasan ka hua ye karam (x2).
Raah-e-Jannat ki mujhko khabar ho gayi.

Wo jo yaad-e-Hasan…

Related Kalaam