Kya Kya Hasan Ka Hai – Mir Hasan Mir 2009-10
Recited by Mir Hasan Mir ·
Roman English
Kya poochtay ho mujh se ke kya kya Hasan ka hai (x2).
Jo kuch bhi hai Khuda ka wo… saara Hasan ka hai.
Kya poochtay ho mujh se…
1. Aur hum kya hain keh raha hai ye khud deen-e-Mustafa (x2).
Aray mujh ko Ali ke baad… sahara Hasan ka hai.
Kya poochtay ho mujh se…
2. Tabdeel kar ke jins Hasan ne bata diya (x2).
Ke kehtay hain jis ko kun wo… irada Hasan ka hai.
Kya poochtay ho mujh se…
3. Wajib samajh ke karta hoon… main tab se laanatain (x2).
Aray jab se meri nazar main… janaaza Hasan ka hai.
Kya poochtay ho mujh se…
4. Is khush khati se chalti hai… maidaan-e-jang main (x2).
Ke lagta hai Zulfiqar pe… saaya Hasan ka hai.
Kya poochtay ho mujh se…
5. Arzak ki laash dekh kar… boli ye fauj-e-shaam (x2).
Allah ka ghazab hai ke… beta Hasan ka hai.
Main kya bataaon aap ko… kya kya Hasan ka hai.
6. Kehnay ko dha diya usay… Aal-e-Saoud ne (x2).
Har dil mein lekin aaj bhi… Roza Hasan ka hai.
Main kya bataaon aap ko… kya kya Hasan ka hai.
7. Allah se Ali ko… mila ab wirasatan (x2).
Sochain agar to khana-e-kaba Hasan ka hai.
8. Kyun kar na do jahan mai… tu sarfaraz ho (x2).
Aey Meer tere saath… hawala Hasan ka hai.
Related Kalaam
Manqabat Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi – Mir Hasan Mir 2002-03
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Sun Lein Wo Jin Ke Liye – Mir Hasan Mir 2004
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Hussain Hai Na – Mir Hasan Mir 2021-22
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Woh Aa Raha Hai – Mir Hasan Mir 2020-21
Mir Hasan Mir ·