Un Ka Saani Koi – Ustad Pyare Khan
Recited by Ustad Pyare Khan ·
Roman English
Un ka saani koi khaliq ne banaya hi nahi (x2).
Aisa be misl banaya hai ke saaya hi nahi (x2).
Un ka saani… koi khaliq ne banaya hi nahi.
1. Aisi tasveer jo kudrat ne bana kar bheji (x2).
Jalwa aaraayi hui parda uthaya hi nahi (x2).
2. Jab Nabi arsh pe pohnchay to malaayik bolay (x2)
Ye sharaf aur kisi ne kabhi paaya hi nahi (x2).
3. Bolay Jibreel ke ab hukm hai kya mere liye (x2).
Main ne is jaa se kadam aagay badhaya hi nahi.
Un ka saani…
4. Aaj phir taalib-o-matloob mein waaday hongay (x2).
Raaz ki baat hai gairon ko bulaya hi nahi (x2).
Un ka saani koi khaliq ne banaya hi nahi (x2).
Aisa be misl banaya hai ke saaya hi nahi (x2).
Related Kalaam
Manqabat Na Bhool Kar Bhi Kabhi – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
Soz-o-Salaam Rona Ae Apni Aqbat – Ustad Pyare Khan 2008-09 – Heartwarming Salaam
Ustad Pyare Khan ·
Soz-o-Salaam Gham-e-Hussain Ka Maksad – Ustad Pyare Khan 2008-09 – Heartbreaking Salaam
Ustad Pyare Khan ·
Soz-o-Salaam Chala Hai Karbala Ko – Ustad Pyare Khan 2009-10
Ustad Pyare Khan ·