Soz-o-Salaam

Chala Hai Karbala Ko – Ustad Pyare Khan 2009-10

Recited by Ustad Pyare Khan ·

Chala Hai Karbala Ko – Ustad Pyare Khan 2009-10

Roman English

Chala hai karbala ko kaarwan… aahista aahista (x2)
Alam ki chhaa rahi hai badriyaan… aahista aahista.
Chala hai karbala…

1- Ali Akbar jawaani ki kasam mur kar zara dekho (x2).
Chali aati hai peechay peechay maa… aahista aahista (x2).
Chala hai karbala ko karwaan… aahista aahista.

2- Pidar ki kuwwat-e-bardasht ka tha dhiaan Akbar ko (x2).
Badi mushkil se li angrayiaan… aahista aahista (x2).

3- Badan sab choor tha zakhmoan se Qasim ka dum-e-urdan.
Badi mushkil se li thi hichkiyaan… aahista aahista.

4- Kinaaray nehar ke Abbas aaye to salaami ko (x2).
Nikal aayi thi saari machliaan… aahista aahista.

Chala hai karbala.

Related Kalaam