Kunba Nabi Ka Qaid – Hasan Sadiq 1996-97
Recited by Hasan Sadiq ·
Roman English
Ya Hussain (x4)
Kunba Nabi ka qaid tha bazaar-e-shaam tha
Kunba Nabi ka qaid… (x2)
Zainab thee sar ba-rehna (x2) Qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka qaid… (x2)
Beti Ali ki sar khulay darbaar-e-aam mein (x2)
Abbas ke liye ye hayaa ka maqaam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka… (x2)
Zanjeer-o-tauk bedhiaan pehnay huay chala (x2)
Sajjad ke naseeb mein kya sakht kaam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka… (x2)
Aaya dar-e-Hussain pe kismat badal gayi (x2)
Hurr thodi dair baad alaihis salaam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka… (x2)
Tat’heer Sayyada ki rida ka jo naam hai (x2)
Zainab teri rida ka to Abbas naam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka… (x2)
Abbas jaisa bhai nahi do jahaan mein (x2)
Jo bhai tha Hussain ka lekin ghulaam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka… (x2)
Ye aaj jo sabeelain lagi hain jaga jaga (x2)
Ye baargaah us ki hai jo tashna kaam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka… (x2)
Noha nahi tha wo to aqeedat ke phool thay (x2)
Rehan Aazmi ke kalam ka salaam tha
Zainab thi sar ba-rehna qaidi Imam tha
Kunba Nabi ka qaid… (x2)
Related Kalaam
Noha Karbala Walon Pe – Hasan Sadiq 1994
Hasan Sadiq ·
Noha Taziyane Shimr Ke – Hasan Sadiq 1997-98
Hasan Sadiq ·
Noha Teeroan Ke Musallay Par – Hasan Sadiq 1991-92
Hasan Sadiq ·
Noha Sughra Ko Rulata Hai – Hasan Sadiq 1998-99
Hasan Sadiq ·