Noha

Karbala Walon Pe – Hasan Sadiq 1994

Recited by Hasan Sadiq ·

Karbala Walon Pe – Hasan Sadiq 1994

اردو

کربلا والوں پہ یہ کیسا محرم آیا
خوں ٹپکتا ہوا عباسؑ کا پرچم آیا

جیسے جیسے میرے غازیؑ کا علم جھکتا گیا
پشت پہ حضرت شبیرؑ کے بھی خم آیا

کربلا دیکھ لے اسلام بچانے کے لئے
ساتھ کنبے کو لئے وارثِ آدمؑ آیا

ظالموں اس کو تو دو بوند پلا دو پانی
اب لبوں پر میرے بے شیر کا ہے دم آیا

سارے موسم تو گزر جاتے ہیں آکر لیکن
بس غمِ شاہؑ کے لئے موسمِ ماتم آیا

چاند ریحان نظر آیا محرم کا اِدھر
قلزم اشک میری آنکھ میں پیہم آیا

Roman English

Karbala Walon Pe Ye Kaisa Muharram Aaya

Karbala walon pe ye kaisa muharram aaya
Khoo’n tapakta huwa Abbas ka parcham aaya

Karbala walon pe….

Jaise jaise mere ghazi ka alam jhukta gaya
Pusht mein Hazrat e Shabbir ki bhi kham aaya
Khoo’n tapakta huwa Abbas ka parcham aaya

Karbala walon pe….

Karbala dekh le Islam bachane ke liye
Saath kumbey ko liye waaris e Adam aaya
Khoo’n tapakta huwa Abbas ka parcham aaya

Karbala walon pe….

Zaalimo isko to do boondh pilado pani
Ab labon par mere baysheer ka hai dam aaya
Khoo’n tapakta huwa Abbas ka parcham aaya

Karbala walon pe….

Saare mausam to guzar jaate hai aakar lekin
Bas hamesha ke liye mausam-e-matam aaya
Khoo’n tapakta huwa Abbas ka parcham aaya

Karbala walon….

Chand rehaan nazar aaya moharram ka idhar
Qulzum e ashk meri aankh may payham aaya
Khoo’n tapakta huwa Abbas ka parcham aaya

Karbala walon….

Related Kalaam