Aa Gayin Fatima – Mir Hasan Mir – 2003
Recited by Mir Hasan Mir ·
Roman English
Aa gayin Fatima, Aa gayin Fatima (x2)
Aa gayin Fatima, Aa gayin Fatima (x2)
Jibra’eel-e-Ameen de rahay hain sada.
Aa gayin… (x2).
Aaj khush hain bohat ashraf-ul-Ambiya (SAWW).
Aa gayin… (x2).
1. (Arsh se farsh tak noor ka hai samaa.
Aayin aalam mein giyaara imamoan ki maa (x2)).
Duur aalam ka saara andhera hua.
Aa gayin… (x2)
2. (Mustafa aur Hasnain aur Murtaza.
Hukm-e-Khaaliq se jab ho gaye aik jaan (x2)).
Phir durodon ki baarish mein zair-e-kisa.
Aa gayin… (x2)
3. (Jis ke dar se malak rizq paate rahay.
Aur ban ban ke khayyaat aate rahay (x2)).
Bheek leni hai ja jaldi kashkol la.
Aa gayin… (x2)
4. (Main gunahgar kya meri auqaat kya.
Aik aansu ke badlay sila yeh mila (x2)).
Khuld se khud mere haq mein karnay dua.
Aa gayin… (x2)
5. (Main Hasan mushkilon mein gira jab kabhi.
Main ne darbaar-e-Zahra mein faryaad ki (x2)).
Khatm honay na paayi thi meri dua.
Aa gayin… (x2)
Related Kalaam
Manqabat Noor Ki Anjuman – Mir Hasan Mir 2005
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Midhat-E-Haider Mere – Mir Hasan Mir 2001-02
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Iss Tarha Se Jeene Ka – Mir Hasan Mir 2002
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Sun Lein Wo Jin Ke Liye – Mir Hasan Mir 2004
Mir Hasan Mir ·