Yun Ro Rahay Hain Dekh Ke – Mir Hasan Mir 2019-20 – Heartbreaking Noha
Recited by Mir Hasan Mir ·
Roman English
Yun Ro Rahay Hain Dekh Ke Zainab ko Murtaza.
Haaye haaye haaye haaye.
Haaye Zainab Haaye Ali.
Yun ro rahay hain dekh ke Zainab ko Murtaza.
Yun ro rahay… (x2)
Shaayad khayaal aaya hai baazar-e-shaam ka.
Yun ro rahay… (x2)
Zainab ke thay ye bayn Madinay chalo Hussain (x2).
Kufa hamaaray rehnay ke qaabil nahi raha.
Yun ro rahay… (x2)
Sajjad bayn kartay hain daada hain khush naseeb (x2).
Betoa’n ne mil ke baap ko gusl-o-kafan diya.
Yun ro rahay… (x2)
Pehla ye imtihan hai Ghazi ke sabr ka (x2).
Abbas chup hain saamnay qaatil hai baap ka.
Yun ro rahay… (x2)
Zainab na ro abhi mujhay aa jaayega sukoon (x2).
Rumaal laa ke baandh do sar par Batool ka.
Yun ro rahay… (x2)
Ik bibi chal rahi hai janaazay ke saath saath (x2).
Lagta hai qabr chodh ke aayi hain Fatima.
Yun ro rahay… (x2)
Maula kyun khaak aap ne daali hai zakhm par (x2).
Kya yaad aa gayi hai musallay pe karbala.
Yun ro rahay… (x2)
Darbaar-e-shaam jaaonga Zainab main teray saath (x2).
Akbar ye keh ke ho gayay khaamosh Murtaza.
Related Kalaam
Noha Muslim Akela Hai – Mir Hasan Mir 2020-21
Mir Hasan Mir ·
Noha Utho Sakina Chalain Karbala – Mir Hasan Mir 2019-20
Mir Hasan Mir ·
Noha Bhai Bhai Pukarti Rahi Main Phir Bhi Khanjar
Mir Hasan Mir ·
Noha Qaid Khanay Say Sakina – Mir Hasan Mir 2017
Mir Hasan Mir ·