Safar-e-Shaam Ki Rudaad – Joan Rizvi 2019-20
Recited by Joan Rizvi ·
Roman English
Safar-e-shaam ki rudaad sunaoon kaisay (x2).
Khoon rota hai kalam (x2) aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Maut achi thi ye Abid ne kaha khoo’n ro kar (x2).
Saath saadat ke baazaro’n mein jaaon kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Sar barehna hai phuppi aur behan saath meray (x2).
Chaadar-e-waaris-e-tat’heer udaaon kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Koi patthar liyay aata hai koi teer-o-tabar (x2).
Hath hain meray bandhay haaye bachaao’n kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Apnay gham bhool gayee’n Zainab-o-Kulsoom magar (x2).
Sochti theen ke Sakina ko bachaao’n kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Sar-e-mazloom nahi badhta Sakina gumm hai (x2).
Is bayabaa’n mein usay dhoond ke laaon kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Sar barehna hai pas-e-pusht bandhay haath meray (x2).
Aur darbaar-e-yazeedi hai main jaao’n kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Maa isi shehar ki shehzadi hua karti thi (x2).
Qaidi ban kar main usi shehar mein jaao’n kaisay.
Khoon rota hai kalam aur batao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki… (x2)
Jab Sakina ko kaneezi mein tha maanga us dam (x2).
Guzri Sajjad pe kya Joan bataao’n kaisay.
Safar-e-shaam ki rudaad sunaoon kaisay (x2).
Related Kalaam
Noha Ashq-e-Ghum Hai Teri Ata – Joan Rizvi 2020-21
Joan Rizvi ·
Soz-o-Salaam Ali Ko Yaad Wo Ummat (Salaam) – Joan Rizvi 2019-20
Joan Rizvi ·
Noha Abid Ko Jahan Ghash – Mir Hasan Mir 2019-20
Mir Hasan Mir ·
Noha Taziyane Shimr Ke – Hasan Sadiq 1997-98
Hasan Sadiq ·