Noha

Rasool-e-Akram Ka Dilruba – Ali Shanawar 2020-21

Recited by Syed Ali Shanawar ·

Rasool-e-Akram Ka Dilruba – Ali Shanawar 2020-21

Roman English

Waawaila sad waawaila (x6)

Rasool-e-Akram ka dilruba be khata maara gaya (x2).
Khair-un-Nissa ka laadla (x2) be gunaah maara gaya.
Rasool-e-Akram ka dilruba be khata maara gaya.

Mustafa kee laadli ne naazoan se paala jisay (x2).
Wo sar-e-karb-o-bala (x2) be gunaah maara gaya.

Rasool-e-Akram ka dilruba be khata maara gaya (x2).
Khair-un-Nissa ka laadla (x2) be gunaah maara gaya.
Rasool-e-Akram ka dilruba be khata maara gaya.

Chhaayee kaabay par udaasi hil gaya arsh-e-bareen (x2).
Jab Hussain Ibn-e-Ali (x2) aye Khuda maara gaya.

Rasool-e-Akram ka… (x2).
Khair-un-Nissa ka laadla (x2) be gunaah maara gaya.
Rasool-e-Akram ka… (x2).

Rotee hain Qulsoom-o-Zainab laasha-e-Shabbeer pe (x2).
Behnoan ka pardes mein (x2) aasra maara gaya.

Rasool-e-Akram ka… (x2).
Khair-un-Nissa ka laadla (x2) be gunaah maara gaya.
Rasool-e-Akram ka… (x2).

Baiyn kartee hai Sakeena main yateema ho gayee (x2).
Jab mera Baaba sar-e-karbala maara gaya.

Rasool-e-Akram ka… (x2).
Khair-un-Nissa ka laadla (x2) be gunaah maara gaya.
Rasool-e-Akram ka… (x2).

Bhai tha Abbas jis ka laal Akbar saa jawaan (x2).
Baadshaahoan ka wohi baadsha maara gaya.

Rasool-e-Akram ka… (x2).
Khair-un-Nissa ka laadla (x2) be gunaah maara gaya.
Rasool-e-Akram ka… (x2).

Waawaila sad waawaila (x6)

Related Kalaam