Manqabat

Qum Ki Pehchaan – Salman Jaffer

Recited by Salman Jaffer ·

Qum Ki Pehchaan – Salman Jaffer

Roman English

Qum ki pehchaan Masooma-e-Qum. (x2)
Aisi burhaan Masooma-e-Qum.

Bibi Zehra ka inhain naam mila. (x2)
Aisi zeeshan Masooma-e-Qum.

Bibi Zainab ki misl bhai par. (x2)
Dil se qurban Masooma-e-Qum.

Aisay ghar mein hui hain khalq jahaa’n.
Utra Qura’an Masooma-e-Qum.

Jis tarha’n ronak-e-Mashad hain Raza. (x2)
Qum ki hain shaan Masooma-e-Qum.

Wo bulati hain phir se rozay par. (x2)
Tum ko Salman Masooma-e-Qum.

Qum ki pehchaan Masooma-e-Qum.

Related Kalaam