La Hawla Wala Quwwata illa Billah – Mir Hasan Mir
Recited by Mir Hasan Mir ·
Roman English
La Hawla Wala Quwwata illa Billah. (x4)
Main aur karoon (x2) dushman-e-Haider ki sana.
La Hawla Wala Quwwata illa Billah. (x3)
Dawlat ke liye phir gaye haq se yaksar. (x2)
Tum dushman-e-Shabbir ho laanat tum par.
Hurr shaam ke lashkar se ye keh kar nikla.
La Hawla Wala. (x2)
Haider ki wilaayat pe jo shak karta hai. (x2)
Imaan hai mera ke woh jab marta hai.
Padhti hai ajal dekh ke us ka chehra.
La Hawla Wala. (x2)
Aal-e-abu sufiyaan se humdardi hai. (x2)
Aye dunya adawat ki bhi hadh hoti hai.
Kaafir Abu Taalib hai to Islam hai kya.
La Hawla Wala. (x2)
Tu meri kahi baat pe shak karta hai. (x2)
Allah ke banday ko Khuda kehta hai.
Ye keh ke. (x2) nusairi ko Ali ne maara.
La Hawla Wala (x2)
Imaan-o-Aqeede ki durasti kar le. (x2)
Hai shakl buri baat to achi kar le.
Kehta hai Muhammad ko tu apne jaisa.
La Hawla Wala. (x2)
Takraane lagi. (x3) Kufay se faujain ja ke.
Sheh ne kiye is tarhan se satra hamlay.
Har hamlay pe kehta raha Ibn-e-Zehra.
La Hawla Wala Quwwata illa Billah. (x2)
Mat ye kaho iblees ke jaise hongay. (x2)
Socho to zara log woh kaisay hongay.
Iblees jinhain dekh ke padhta hoga.
La Hawla Wala Quwwata illa Billah. (x2)
Bachna ae Takallum ye maraz hai moozi. (x2)
Hain saamnay aankhoan ke misaalain kitni.
Shaitan bana deta hai sho’hrat ka nasha.
La Hawla Wala Quwwata illa Billah. (x2)
La Hawla Wala Quwwata illa Billah. (x2)
Related Kalaam
Manqabat Ya Shah-e-Khurasan – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Sun Lein Wo Jin Ke Liye – Mir Hasan Mir 2004
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Hussain Hai Na – Mir Hasan Mir 2021-22
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Woh Aa Raha Hai – Mir Hasan Mir 2020-21
Mir Hasan Mir ·