Jab Ayaa e Baligh Teray – Mir Hasan Mir
Recited by Mir Hasan Mir ·
Roman English
Jab ayaa e baligh teray tewar nazar aayay (x2).
Jab ayaa e baligh teray tewar nazar aayay.
Dunya mein Ali sab se kadaawar nazar aayay.
Jab aaya e baligh teray tewar nazar aayay.
1. Suraj ki kahin dhoop kahin ishq ka saaya (x2).
Ik waqt mein do tarhan ke manzar nazar aayay.
Jab aaya e baligh teray tewar nazar aayay.
2. Ik noor ke do tukday thay aaeena e khum mein (x2).
Jis rukh se bhi dekha wo barabar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…
3. Aelaan wilaayat ka hazaaron ne suna tha (x2).
Maangi jo shahadat to bahattar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…
4. Haathon se mere choot gaya sagar e kausar (x2).
Kausar pe jo khud saaqi e kausar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…
5. Allah re ye mojiza e noor e wilaayat (x2).
Andhoan ko bhi maidaan mein Haider nazar aayay.
Jab aaya e baligh…
6. Nabiyon ko jahaan dhoond raha tha main wahan par (x2).
Fizza nazar aayi kabhi kambar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…
7. Keh dena ke Behlol hai ye Mir Hasan bhi.
Dunya jo uthaayay huay pathar nazar aayay.
Jab aaya e baligh tere tewar nazar aayay.
Related Kalaam
Manqabat Ghadeer Ki Baat – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Suraj Ye Keh Ke Deen Ka – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Mimber Ghadeer-e-Khum Ka – Mir Hasan Mir 2010
Mir Hasan Mir ·
Manqabat Sun Lein Wo Jin Ke Liye – Mir Hasan Mir 2004
Mir Hasan Mir ·