Aa Gaya Maah-e-Aza Aansu Baha Lo Fatima – Razi Rizvi 1980s
Recited by Razi Rizvi ·
Roman English
Apnay betay ki saf-e-maatam bicha lo Fatima
Aa gaya maah-e-aza aansu baha lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Aag se Sajjad ko aa kar nikaalo Fatima (x2)
Aray aa kar nikaalo Fatima
Jal na jaaye Abid-e-Muztar bacha lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Chheen kar chaadar saroan se le gaye aada-e-deen (x2)
Haaye le gaye aada-e-deen
Nangay sar Zainab hai chaadar to udha lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Zakhm itnay hain ke ghodhay par sambhal saktay nahi (x2)
Haaye sambhal saktay nahi
Gir na jaaye laal ko aa kar sambhaalo Fatima
Aa gaya… (x2)
Tashna lab Shabbir ki himmat pe keh kar marhaba (x2)
Aray himmat pe keh kar marhaba
Apnay seenay se zara badh kar laga lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Bosa lena hai agar peshaani-e-Shabbir ka (x2)
Aray peshaani-e-Shabbir ka
Pehlay khaak-o-khoo to chehray se hata lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Sar hai nezay par khulay sar bibiyoan ke saath saath (x2)
Haaye bibiyoan ke saath saath
Laasha-e-be sar hai sehra mein utha lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Sar khulay ahl-e-haram hain shaam ke baazar mein (x2)
Aray shaam ke baazar mein
Bibiyoan ko aa ke chaadar to udha lo Fatima
Aa gaya… (x2)
Yaad kar ke ro rahi hai baap ki aaghosh ko (x2)
Haaye baap ki aaghosh ko
Godh mein badh kar Sakina ko utha lo Fatima
Aa gaya maah-e-aza aansu baha lo Fatima (x2)
Seena-e-Akbar se barchhi ka nikalna hai muhaal (x2)
Barchhi nikalna hai muhaal
Kaanpta hai haath Sheh ka tum nikaalo Fatima
Aa gaya maah-e-aza aansu baha lo Fatima (x2)
Related Kalaam
Noha Aye Dilbaraan-e-Jaffar-e-Tayyar – Ali Zia Rizvi 1980s
Ali Zia Rizvi ·
Noha Zakhm e Akbar Pay Laila – Mir Hasan Mir 2017 – 1439h
Mir Hasan Mir ·
Noha Mar Na Jaye Kahin Wo – Kazmi Brothers 2025-1447h
Kazmi Brothers ·
Noha Akbar Tumhe Maloom Hai – Sahibe Alam Zaidi 2011
Sahibe Alam Zaidi ·